Monday, February 7, 2011

Maut se Darr

Maut se Darr kar Kanhan Jaayega tu ...
Usse to ek din Apnaayega tu...
Baaki sab ne ki hogi bewaafi...
Is ne to sada wafa hi nibhayi...

Jab aayegi ise teri yaad
Sabko chodna padega tera saath
Le kar apni bahon mein tujhe
karigi ye tujhse khati meethi baat

Apna Paraya sab bhulwa degi ye
Chain se tujhe sula degi ye
Sab chod dega jab apnayegi ye
Jab bhi aayegi fir na chod kar jaayegi ye

Maut se darr kar Kanhan Jaayega tu...
Usse tou ek din Apnaayega tu.



Hasti hui Aankhein

Hasti hui aankhein kanhan dikhti hai aaj kal......
Jidhar dekha ankhon main samandar bhara paya.
Nikla tha ghar se soch kar hasaoonga aaj kisi ko..
Dekh kar duniya ka dukh mujhe hi rona aaya..

Karta hai dil

Karta hai dil karta ranhon tumse baat
Dekhta ranhon tumhe rahoon tumhaare paas
Aati hai tumhaari yaad dil ko tadpati hai
Milne ko tujhse ye ankhiyan taras jaati hai

Kyon koi nahin

Kyon koi nahin samajhta mujhko..
kya main karna chahta hoon ...
chota sa hoon insaan main ..
chota sa hi rehna chahta hoon..

Aaram se nahin jeene deta koi ...
sab ki kuch umeedein hain ..
kanhan kho gaya main khud inmein...
koi jannana chahta nahin ....

Hasta tha aur main tha muskuraata..
sab apne apne se lagte they...
pata nahin kaise they wo din ...
sab sachee se lagte they...

Kanhan gayee wo muskuraahat ..
chehra bigda sa lagta hai ....
pata nahin kaise hain ye din ...
sab apne parayee lagte hain ..

Kehne ko to sab hain mere...
Fir bhi tanha pata hoon...
is matlabi duniya main bas...
jeena hai, jiye jaata hoon...

Kyon aaya hoon main duniya main..
ye main socha karta hoon...
Nahin milta hai jawab koi ...
sabse poocha karta hoon...

Fir le aaya waqt

Fir le aaya waqt mujhe yanhan
Jaane le jaayega kanhan kanhan

Bahot mushquil se bhula paya tha Guzre zamaane ko
Ek baar fir majboor ho gaya wanhin aane ko